jo bhi guncha tere honthon par khila karta hai

, by jeeraja

jo bhi guncha tere honthon par khila karta hai


wo meri tangi-e-daman ka gila karta hai


der se aj mera sar hai tere zanon par



ye wo rutba hai jo shahon ko mila karta hai 


main to baitha hun dabaye huye tufanon ko


tu mere dil ke dhadakane ka gila karta hai



raat yon chand ko dekha hai nadi mein raksan



jaise jhumar tere mathe pe hila karta hai


kon kafir tujhe ilzam-e-tagaful dega



jo bhi karta hai muhabbat ka gila karta hai♥




0 comments:

Post a Comment